Na Rokey Aaj Hamey Koi

Na rokey aaj hamey koi dard mein doob jane de 
Jitney bhi ansoo kaid hai aaj unko bahane de....

Suna hai humney pani ki dhaar se patthar bhi katjate hain
Dekhenge haal pe mere kya sang dil bhi pigal jatey hain....

Arey teez bijli ki dhaar bhi na unhey kaat saki
Ansoo toh unkay saamney yuhi bekaar mein beh jatey hain....

Pyaar ki ulfat unko kya maloom hai
Jinkey jajbaat daulat ke samney bik jaatey hain.......


 •°°•..•°°•.•°°•.•°°• .•°°•.•°°•.
       •♥• Preet •♥•