Kuch Mere Imaan Se Jal Gaye, Kuch Meri Shaan Se Jal Gaye,
Kuch Ki Aankhon Mein Khatak Gayi Shoharat Meri,
To Kuch Is Duniya Mein Meri Pahchaan Se Jal Gaye,
To Kuch Is Duniya Mein Meri Pahchaan Se Jal Gaye,
Kuch Ko Raas Na Aaye Mere Sapano Ke Pankh,
To Kuch Hakikat-E-Khawaab Ki Udaan Se Jal Gaye,
To Kuch Hakikat-E-Khawaab Ki Udaan Se Jal Gaye,
Main To Tha Hi Ab Meri Mohabbat Bhi Unke Nishane Pe Aa Gayi,
To Kuch Mere Mehboob Par Mere Gumaan Se Jal Gaye,
To Kuch Mere Mehboob Par Mere Gumaan Se Jal Gaye,
Kuch Ke Seene Mein Dard Utha Mera Honsala Dekhkar,
To Kuch Meri Hasarat Aur Mere Armaan Se Jal Gaye,
To Kuch Meri Hasarat Aur Mere Armaan Se Jal Gaye,
Jo Ek Kachchi Buniyaad Thi Meri Ummeedo Ki Khuda Ke Samane,
Kuch Isi Par Khade Aaz Pakke Makaan Se Jal Gaye,
Kuch Isi Par Khade Aaz Pakke Makaan Se Jal Gaye,
Aur Aye Jalne Walon “Preet“ Hota Kaun Hai Jo Tumhe Jalaye,
Tum To Apne Hi Andar Sazaye Nafarat Ke Saamaan Se Jal Gaye.
Tum To Apne Hi Andar Sazaye Nafarat Ke Saamaan Se Jal Gaye.
•°°•..•°°•.•°°•.•°°• .•°°•.•°°•.
•♥•♥• Preet •♥•♥
•♥•♥• Preet •♥•♥